Arsh Siddiqui

aankhon mein kahin uski bhi tufan to nahin tha

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997

āñkhoñ meñ kahīñ us bhī tūfāñ to nahīñ thā

vo mujh se judā ho ke pashemāñ to nahīñ thā

kyuuñ us ne na mujh se sar-e-bazm koī baat

maiñ sañg-e-malāmat se gurezāñ to nahīñ thā

kyuuñ rāsta dekhā kiyā us maiñ sar-e-shām

be-dard mujh se koī paimāñ to nahīñ thā

thī aag bhī terī tarah hosh dushman

varna mujhe jal marne armāñ to nahīñ thā

thā dil bhī kabhī shahr-e-tamannā meñ mumāsil

ye qarya hamesha se bayābāñ to nahīñ thā

kyuuñ us ne mujhe azmat-e-qur.āñ qasam

vo rahzan-e-īmān musalmāñ to nahīñ thā

kyuuñ mujh se tavaqqo.a thī use jāh-o-hasham

maiñ banda-e-nādār sulaimāñ to nahīñ thā

tūfān-e-alam kyuuñ mujhe sāhil pe utārā

maiñ shor-e-talātum se hirāsāñ to nahīñ thā

shab-bhar mirī palkoñ meñ damakte rahe taare

kal raat yahāñ jashn-e-charāġhāñ to nahīñ thā

kahte haiñ ki hai 'arsh' nigūñ pā-e-nabī par

aisā vo koī sāhab-e-īmāñ to nahīñ thā

Top Urdushayar.com