Arsh Siddiqui

dard ko hum zindagi ka kaif-o-kam kahte rahe

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997

dard ko ham zindagī kaif-o-kam kahte rahe

ḳhāmushī ke saaz par rūdād-e-ġham kahte rahe

gosh-bar-āvāz puurī bazm meñ koī na thā

dāstān-e-ārzū kahne ko ham kahte rahe

intihā-e-yās meñ chalte rahe be-mudda.ā

dekhne vaale hameñ sābit-qadam kahte rahe

dil fareb-e-zindagī meñ be-tarah uljhā rahā

ishq ko āzād patthar ko sanam kahte rahe

kam-savādoñ ko masīhā nā-ḳhudāoñ ko ḳhudā

buud ko nābūd hastī ko adam kahte rahe

apne ḳhuuñ se dāstān-e-ġham raqam karte rahe

lauh-e-dil ko nok-e-ḳhanjar ko qalam kahte rahe

aarzū ke kitne but-ḳhāne the is dil meñ nihāñ

'arsh' jis dil ko sabhī tāq-e-haram kahte rahe

Top Urdushayar.com