Shabana Yousaf

usi ke qurb mein rah kar hari bhari hui hai

Shabana Yousaf

usī ke qurb meñ rah kar harī bharī huī hai
sahāre peḌ ke ye bel jo khaḌī huī hai
abhī se chhoTī huī jā rahī haiñ dīvāreñ
abhī to beTī zarā sī mirī baḌī huī hai
banā ke ghoñsla chiḌiyā shajar kī bāñhoñ meñ
na jaane kis liye āñdhī se Darī huī hai
abhī to pahle safar kī thakan hai paañv meñ
ki phir se juutī pe juutī mirī paḌī huī hai
na.ī rutoñ ke muqaddas bulāve to haiñ magar
salīb vādoñ kī jo rah meñ ik gaḌī huī hai
maiñ haath bāñdhe hue lauT aa.ī huuñ ghar meñ
ki mere pars meñ ik aarzū marī huī hai
agar bichhaḌne kā us se koī malāl nahīñ
'shabānā' ashk se phir aañkh kyuuñ bharī huī hai
Top Urdushayar.com