vo  sadā.eñ  detā  rahā  ho  maiñ  ne  sunā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mujhe  lag  rahā  ho  judā  magar  vo  judā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
nahīñ  koī  rāz-e-yagāngī  nahīñ  koī  sāz-e-fasāngī
magar  ek  sāz-e-fasāna  rāz-e-yagāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
maiñ  samajhtā  huuñ  use  ḳhush-nasīb  koī  chūmtā  hai  agar  salīb
ki  ye  sāz-e-marg  hī  zindagī  kā  tarāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
maiñ  diyā-salā.ī  kī  raushnī  meñ  talāsh  kartā  rahā  tumheñ
magar  apnā  maqsad  añdherī  raat  batānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
maiñ  tumhāre  ishq  meñ  rāt-din  jo  dikhā.ī  detā  huuñ  mutma.in
mirā  ghar  hī  sirf  luTā  ho  dil  to  luTā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  shumār-e-māh-o-nujūm  ho  ki  ḳhumār-e-tark-e-rusūm  ho
koī  baar  soch  bichār  hī  kā  paḌā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
kisī  hoñT  se  koī  ras  mile  koī  dam  farishta-nafas  mile
vo  milā  bhī  ho  to  mujhe  dobāra  milā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
tire  paañv  chhūtī  vo  sā.ateñ  vo  taġhayyurāt  kī  sabqateñ
kisī  pul  kā  jaise  kahīñ  bhī  koī  sirā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
jo  hai  apne  rañg  meñ  sandalī  jo  hai  apne  lams  meñ  maḳhmalī
mirī  ḳhalvatoñ  ko  usī  ne  jaise  lubhānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  asās-e-azm  se  āshnā  vo  libās-e-nazm  se  rūnumā
kisī  qāfiye  yā  radīf  se  vo  khulā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
koī  ābshār  na  āb-e-jū  kisī  aur  lahar  kī  aarzū
mirī  pyaas  bujhne  kā  aur  koī  Thikānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
kahīñ  yuuñ  na  ho  koī  pul-sirāt  ke  paar  ho  mirā  muntazir
magar  us  ko  jā  ke  udhar  talāsh  kiyā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
kisī  iid  par  yā  basant  par  vo  milegā  umr  ke  ant  par
maiñ  ye  sochtā  huuñ  ki  ye  bhī  koī  bahāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  ufuq  ba-nafsī  jo  kho  chukā  koī  āftāb  jo  so  chukā
unheñ  rañj  mere  akele-pan  kā  rahā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mujhe  naaz  apne  ḳhayāl  par  mujhe  naaz  us  ke  jamāl  par
maiñ  samajh  rahā  huuñ  jise  nayā  vo  nayā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mire  dil  ke  diin  ko  bech  kar  koī  le  gayā  mujhe  khīñch  kar
mire  añg  añg  meñ  apnā  rañg  jamānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
yahī  ham-qadam  kī  haiñ  laġhzish  yahī  zer-o-bam  kī  haiñ  larzisheñ
jise  bhūlnā  na  ho  vo  hī  yaad  rahā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
koī  sho.ala  sā  jo  bhaḌak  uThā  koī  dard  sā  jo  chamak  uThā
mare  dard  dil  kā  ye  āriza  bhī  purānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
maiñ  diye  jalā.ūñ  muñDer  par  ki  zarūr  aa.egā  vo  idhar
isī  shaam  vo  kisī  aur  samt  ravāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
kabhī  surma.ī  kabhī  ātishī  kabhī  nuqra.ī  kabhī  kāsnī
kisī  ek  rañg  meñ  rah  ke  jī  hī  lagānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
kisī  farsh-o-arsh  meñ  kuchh  nahīñ  maiñ  jhukā  rahā  huuñ  yūñhī  jabīñ
jise  DhūñDūñ  meñ  vo  qadam  hī  us  ne  rakhā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
hameñ  sar-kashī  se  muqaddaroñ  ko  badalnā  aayā  nahīñ  abhī
magar  aisā  karnā  mohabbatoñ  meñ  ridā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
jo  thī  kal  vo  aaj  hai  zindagī  abhī  lā-ilāj  hai  zindagī
ki  masīh-e-asr  ke  paas  us  kī  davā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  musavvirī  huī  shā.irī  kisī  kaam  aa.e  ye  sāhirī
dil-e-pāk-bāz  bhī  mah-ruḳhoñ  kā  divāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
shab-e-vasl  jalva-e-tūr  sā  vo  badan  chamaktā  thā  nuur  sā
koī  lā-zavāl  vafūr-e-rañg-e-shabāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
maiñ  kahāñ  se  lā.ūñ  vo  zindagī  jo  sarāsar  us  kī  ho  bandagī
mirī  ruuh  kī  jo  talab  hai  us  kī  razā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mirā  āḳhirat  pe  to  hai  yaqīñ  kahīñ  zahar  ho  na  ye  añgbīñ
maiñ  haqīqat  us  ko  samajh  luuñ  aur  vo  fasāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
ye  satīza-kārī  na  ho  shurūa  hai  kahāñ  ġhurūb  kahāñ  tulūa
jo  tirā  zamāna  ho  vo  hī  mirā  zamāna  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
maiñ  guzar  ke  aayā  huuñ  qabr  se  ki  ilāqa  rakhtā  huuñ  sabr  se
mirī  ruuh  meñ  koī  iztirāb-e-fanā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
ye  gurez  to  zarā  kam  karo  mirī  kā.enāt  meñ  ram  karo
sau  garm  karo  ki  dobāra  par  ye  ḳhalā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
na  suhāg-rāt  chamak  sakī  yūñhī  kasmasāte  sahar  huī
koī  diip  gum-shuda  thāliyoñ  meñ  jalānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mujhe  us  kī  shakl  dikhā.ī  de  na  hī  apnī  shakl  dikhā.ī  de
mirā  ā.īna  mire  shīshagar  kī  atā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mujhī  tīra-baḳht  kī  baat  hai  ki  ye  vaqt  vaqt  kī  baat  hai
jise  yaad  kar  ke  jiyūñ  usī  ko  bhulānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
jo  hai  mere  dil  kā  mo.āmla  jo  hai  nazm-e-dahr  se  māvarā
kahīñ  us  ke  vāste  harf-e-kun  hī  kahā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  barahnagī  kā  qasīda  kahte  hue  idhar  nikal  aayā  thā
magar  us  kī  āñkhoñ  meñ  satr-posh  hayā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
na  vo  yaar  thā  na  vo  dāshta  meñ  kahāñ  panāh  tarāshtā
mujhe  le  ke  dil  mirā  dar-ba-dar  hī  phirā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
sar-e-rāh  siina  nikāltā  huā  aayā  thā  jo  vo  ḳhush-nigāh
dil-ishq-ḳhū  ko  vo  par  ġhurūr  lagā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
ho  abas  yahāñ  use  dekhnā  ho  abas  yahāñ  use  DhūñDhnā
mirā  yaar  mere  baġhair  jī  hī  sakā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  ḳhayāl  khol  ke  dekhnā  vo  savāl  taul  ke  dekhnā
ki  samajh  rahe  ho  jise  ḳhafā  vo  ḳhafā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
mirī  zindagī  tirī  bandagī  se  judā  nahīñ  kabhī  ġhaur  kar
mare  ijtihād  pe  tū  ne  ġhaur  kiyā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
isī  vāste  abhī  zindagī  huuñ  ki  tumhārā  chehra  hai  sāmne
koī  aur  shaḳhs  mirī  nazar  meñ  jachā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  koī  daġhā  koī  ma.arka  vo  shujā.ateñ  aur  muhāsara
vo  koī  qadīm  rajaz  sunā  hī  gayā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
jo  aziiz  jaañ  se  hai  kāfira  use  zeb  de  na  munāfira
ye  nahīñ  ba.iid  ki  us  ko  pās-e-vafā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
tirā  husn  asiir  na  kar  sakā  na  maiñ  tere  vāste  mar  sakā
kahīñ  merā  saath  mire  ḳhudā  ne  diyā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
koī  hijratī  ġham-e-dahr  meñ  ho  ravāñ-davāñ  kisī  lahar  meñ
koī  rah  rahā  thā  jahāñ  vahāñ  vo  rahā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
vo  qurūn-e-asl  kī  sā.ateñ  vo  junūn-e-vasl  kī  rāhateñ
mire  vāste  hoñ  mujhe  pata  hī  chalā  na  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho
kisī  aur  ke  liye  ho  chhupā  ke  hañsī  vo  us  ne  rakhī  huī
'zafar'  ik  mujhī  ko  hamesha  ḳhuun  rulānā  ho  kahīñ  yuuñ  na  ho