Aziz Lakhnavi

husn-e-alam-soz na-mahdud hona chahiye

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
husn-e-ālam-soz nā-mahdūd honā chāhiye
har tajallī āftāb-ālūd honā chāhiye
husn-e-niyyat hai dalīl-e-husn anjām-e-amal
sa.ī meñ bhī jalva-e-maqsūd honā chāhiye
ek hī jalva hai jab hañgāma-ārā-e-shuhūd
phir vahī shāhid vahī mash.hūd honā chāhiye
husn-e-ālam-soz kā faiz-e-tajallī aam hai
ek ik zarra yahāñ masjūd honā chāhiye
shāna-o-ā.īna kyā ai zulf-e-mushkīn-e-ayāz
terī zīnat ko dil-e-mahmūd honā chāhiye
be-niyāzī ab ḳhatā-kāroñ kī himmat baḌh ga.ī
bāb-e-tauba kuchh dinoñ masdūd honā chāhiye
kāvish-e-mizhgān kā paiham taqāzā hai 'azīz'
har-nafas ko tere ḳhūn-ālūd honā chāhiye
Top Urdushayar.com