husn-e-ālam-soz  nā-mahdūd  honā  chāhiye
har  tajallī  āftāb-ālūd  honā  chāhiye
husn-e-niyyat  hai  dalīl-e-husn  anjām-e-amal
sa.ī  meñ  bhī  jalva-e-maqsūd  honā  chāhiye
ek  hī  jalva  hai  jab  hañgāma-ārā-e-shuhūd
phir  vahī  shāhid  vahī  mash.hūd  honā  chāhiye
husn-e-ālam-soz  kā  faiz-e-tajallī  aam  hai
ek  ik  zarra  yahāñ  masjūd  honā  chāhiye
shāna-o-ā.īna  kyā  ai  zulf-e-mushkīn-e-ayāz
terī  zīnat  ko  dil-e-mahmūd  honā  chāhiye
be-niyāzī  ab  ḳhatā-kāroñ  kī  himmat  baḌh  ga.ī
bāb-e-tauba  kuchh  dinoñ  masdūd  honā  chāhiye
kāvish-e-mizhgān  kā  paiham  taqāzā  hai  'azīz'
har-nafas  ko  tere  ḳhūn-ālūd  honā  chāhiye