Aziz Lakhnavi

bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
bhaḌak uTTheñge sho.ale ek din duniyā kī mahfil meñ
kahāñ tak jazb hoñgī bijliyāñ sabr-āzmā dil meñ
lahū rone lageñge sāz-e-ishrat chheḌne vaale
are ye dard āvāz-e-shikast-e-shīsha-e-dil meñ
ye chhīñTeñ ḳhuun kī kaafī haiñ mere baḳhshavāne ko
nazar aatī hai jannat vus.at-e-dāmān-e-qātil meñ
abad tak kaukab-e-baḳht-e-sa.ādat ban ke chamkeñge
hue haiñ jazb jo qatre lahū ke teġh-e-qātil meñ
junūn-e-be-sar-o-sāmāñ kī zīnat dekhne vaale
mabādā farq aa.e ishq kī tadbīr-e-manzil meñ
hazāroñ saal soz-e-dil ne kī thī dozaḳh-āshāmī
qadam rakhte hī mere lag ga.ī ik aag mahfil meñ
magar bhūle nahīñ ho yaad ab tak 'abr-o-'hāmid' kī
'azīz' āḳhir vo quvvat kyuuñ nahīñ baaqī rahī dil meñ
Top Urdushayar.com