Aziz Lakhnavi

dekh kar har dar-o-diwar ko hairan hona

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
dekh kar har dar-o-dīvār ko hairāñ honā
vo mirā pahle-pahal dāḳhil-e-zindāñ honā
qābil-e-dīd hai us ghar kā bhī vīrāñ honā
jis ke har gosha meñ maḳhfī thā bayābāñ honā
jī na uTThūñgā hai bekār pashemāñ honā
jaao ab ho chukā jo kuchh thā mirī jaañ honā
nazar aatā hai mujhe ghar kā bayābāñ honā

uf mire ujḌe hue ghar kī tabāhī dekho
jis ke har zarre pe chhāyā hai bayābāñ honā
al-hazar gor-e-ġharībāñ kī Daraunī rāteñ
aur vo un ke ghane baal pareshāñ honā
rāt-bhar soz-e-mohabbat ne jalāyā mujh ko
thā muqaddar meñ charāġh-e-shab-e-hijrāñ honā
kyuuñ na vahshat meñ bhī pāband-e-mohabbat rahtā
thā bayābāñ meñ mujhe qaidi-e-zindāñ honā
hogā ik vaqt meñ ye vāqi.a-e-tārīḳhī
yaad rakhnā mire kāshāne kā vīrāñ honā
kuchh na pūchho shab-e-va.ada mire ghar kī raunaq
allāh allāh vo sāmān se sāmāñ honā
josh meñ le ke ik añgḌā.ī kisī kā kahnā
tum ko aatā hī nahīñ chāk-garebāñ honā
un kī us koshish-e-be-had kā pata detā hai
chārasāzoñ kā mire laash pe giryāñ honā
ālam-e-ishq kī fitrat meñ ḳhalal aatā hai
maan luuñ hazrat-e-nāseh kā gar insāñ honā
surḳh Dorī tirī āñkhoñ kī ilāhī tauba
chāhiye thā inheñ paivast-e-rag-e-jāñ honā
ho chaleñ aap ke bīmār kī āñkheñ be-nūr
qahr thā sub.h ke taare kā numāyāñ honā
maiñ karūñ zabt idhar un ko pasīna aa.e
chāhiye yuuñ ġham-e-pinhāñ ko numāyāñ honā
allāh allāh ye salīqa tirā ai sho.ala-e-tūr
kis tarah tū ne chhupāyā hai numāyāñ honā
un se kartā hai dam-e-naz.a vasiyyat ye 'azīz'
ḳhalq ro.egī magar tum na pareshāñ honā
Top Urdushayar.com