dekh  kar  har  dar-o-dīvār  ko  hairāñ  honā
vo  mirā  pahle-pahal  dāḳhil-e-zindāñ  honā
qābil-e-dīd  hai  us  ghar  kā  bhī  vīrāñ  honā
jis  ke  har  gosha  meñ  maḳhfī  thā  bayābāñ  honā
jī  na  uTThūñgā  hai  bekār  pashemāñ  honā
jaao  ab  ho  chukā  jo  kuchh  thā  mirī  jaañ  honā
nazar  aatā  hai  mujhe  ghar  kā  bayābāñ  honā
uf  mire  ujḌe  hue  ghar  kī  tabāhī  dekho
jis  ke  har  zarre  pe  chhāyā  hai  bayābāñ  honā
al-hazar  gor-e-ġharībāñ  kī  Daraunī  rāteñ
aur  vo  un  ke  ghane  baal  pareshāñ  honā
rāt-bhar  soz-e-mohabbat  ne  jalāyā  mujh  ko
thā  muqaddar  meñ  charāġh-e-shab-e-hijrāñ  honā
kyuuñ  na  vahshat  meñ  bhī  pāband-e-mohabbat  rahtā
thā  bayābāñ  meñ  mujhe  qaidi-e-zindāñ  honā
hogā  ik  vaqt  meñ  ye  vāqi.a-e-tārīḳhī
yaad  rakhnā  mire  kāshāne  kā  vīrāñ  honā
kuchh  na  pūchho  shab-e-va.ada  mire  ghar  kī  raunaq
allāh  allāh  vo  sāmān  se  sāmāñ  honā
josh  meñ  le  ke  ik  añgḌā.ī  kisī  kā  kahnā
tum  ko  aatā  hī  nahīñ  chāk-garebāñ  honā
un  kī  us  koshish-e-be-had  kā  pata  detā  hai
chārasāzoñ  kā  mire  laash  pe  giryāñ  honā
ālam-e-ishq  kī  fitrat  meñ  ḳhalal  aatā  hai
maan  luuñ  hazrat-e-nāseh  kā  gar  insāñ  honā
surḳh  Dorī  tirī  āñkhoñ  kī  ilāhī  tauba
chāhiye  thā  inheñ  paivast-e-rag-e-jāñ  honā
ho  chaleñ  aap  ke  bīmār  kī  āñkheñ  be-nūr
qahr  thā  sub.h  ke  taare  kā  numāyāñ  honā
maiñ  karūñ  zabt  idhar  un  ko  pasīna  aa.e
chāhiye  yuuñ  ġham-e-pinhāñ  ko  numāyāñ  honā
allāh  allāh  ye  salīqa  tirā  ai  sho.ala-e-tūr
kis  tarah  tū  ne  chhupāyā  hai  numāyāñ  honā
un  se  kartā  hai  dam-e-naz.a  vasiyyat  ye  'azīz'
ḳhalq  ro.egī  magar  tum  na  pareshāñ  honā