Aziz Lakhnavi

partaw-e-husn kahin anjuman-afroz to ho

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935

partav-e-husn kahīñ anjuman-afroz to ho

dil-e-pur-dāġh mirā māya-e-sad-soz to ho

kam se kam koī to sāmāñ tire aane karūñ

atlas-e-charḳh to ho bistar-e-gul-doz to ho

rañg-e-pairā-e-chaman-josh meñ kaliyāñ chaTkeñ

khol de band-e-naqāb aaj ki nau-roz to ho

dil meñ paivast na ho jo vo nazar kyā hai

tiir tarkash meñ agar ho to jigar-doz to ho

na sahī sohbat-e-firdaus jahannam sahī

mahfil-e-aish na ho anjuman-e-soz to ho

kyā natīja hai 'azīz' aisī jabīñ-sā.ī se

but sajda ho magar nāsiya-afroz to ho

Top Urdushayar.com