kyuuñ  na  ho  shauq  tire  dar  pe  jabīñ-sā.ī  kā
us  meñ  jauhar  hai  mirī  ā.īna-sīmā.ī  kā
tuur  kushta  hai  usī  nāz-e-ḳhud-ārā.ī  kā
barq  kī  lahr  hai  naqsha  tirī  añgḌā.ī  kā
ishq  ik  tabsira  hai  husn  kī  ra.anā.ī  par
husn  ik  falsafa  hai  ishq  kī  rusvā.ī  kā
aaj  ik  ḳhaak  kā  zarra  bhī  nahīñ  baaqī  hai
dil-e-barbād  ye  hāsil  hai  ḳhud-ārā.ī  kā
yād-e-ayyām  ki  thī  lab  pe  mire  mohar-e-sukūt
ab  to  mātam  hai  bapā  dil  meñ  shakebā.ī  kā
mauj-dar-mauj  ravāñ  bāda-e-sar-josh-e-shabāb
ālam-e-kaif  hai  aalam  tirī  añgḌā.ī  kā
hasrat-o-yās  kā  amboh  magar  maiñ  bekas
aise  majme.a  meñ  ye  aalam  mirī  tanhā.ī  kā
tīrgī  shām-e-lahad  kī  hai  bhayānak  lekin
hai  ye  utrā  huā  jaama  shab-e-tanhā.ī  kā
jazr-o-mad  husn  ke  dariyā  meñ  nazar  aatā  hai
qābil-e-dīd  hai  aalam  tirī  añgḌā.ī  kā
tere  dīdār  se  mahrūm  rahīñ  jab  āñkheñ
koī  masraf  hī  nahīñ  phir  mirī  bīnā.ī  kā
ālam-e-gor-e-ġharībāñ  kā  ye  ġhamnāk  sukūt
ik  namūna  hai  mire  dil  kī  shakebā.ī  kā
niiñd  un  kī  agar  uḌ  jaa.e  to  kuchh  duur  nahīñ
so  gayā  jāgne  vaalā  shab-e-tanhā.ī  kā
sher  dilkash  ho  agar  saf.ha-e-kāġhaz  pe  'azīz'
ik  muraqqa.a  hai  kamāl-e-suḳhan-ārā.ī  kā