tirī  koshish  ham  ai  dil  sa.i-e-lā-hāsil  samajhte  haiñ
sar-e-manzil  tujhe  begāna-e-manzil  samajhte  haiñ
usūl-e-zindagī  jāñ-dāda-e-qātil  samajhte  haiñ
na  sar  ko  sar  samajhte  haiñ  na  dil  ko  dil  samajhte  haiñ
ġharīq-e-bahr-e-ulfat  āshnā-e-qulzum-e-ma.anī
jahāñ  par  Duub  kar  ubhreñ  use  sāhil  samajhte  haiñ
dayār-e-ishq  ke  sākin  zamīñ  par  paañv  kyā  rakkheñ
yahāñ  ke  zarre  zarre  ko  jab  apnā  dil  samajhte  haiñ
kareñ  kyā  un  se  shikva  jo  kisī  ke  dil  jalāne  ko
faroġh-e-garmī-e-hañgāma-e-mahfil  samajhte  haiñ
jhukānā  āstāñ  par  sar  koī  mushkil  nahīñ  lekin
jabīn-e-bandagī  ko  ham  kab  is  qābil  samajhte  haiñ
shikasta-dil  liye  ye  soch  kar  is  bazm  se  niklā
shikāyat  kījiye  un  se  jo  dil  ko  dil  samajhte  haiñ
ye  dil  hāzir  hai  bismillāh  vo  kholeñ  girah  is  kī
agar  āsān  hall-e-uqda-e-mushkil  samajhte  haiñ
lab-e-fariyād  agar  kholūñ  to  kyā  hañgāma  barpā  ho
ḳhamoshī  ko  mirī  jab  guftugū-e-dil  samajhte  haiñ
vo  ḳhalvat  ho  ki  jalvat  ho  tajallī  ho  ki  tārīkī
jahāñ  tum  ho  usī  ko  ham  bharī  mahfil  samajhte  haiñ
irāda  ho  to  dil  mazbūt  kar  ai  Dūbne  vaale
jab  aisā  vaqt  ho  dhāre  ko  bhī  sāhil  samajhte  haiñ
dam-e-āḳhir  rukā  hai  ek  aañsū  dīda-e-tar  meñ
isī  ko  hasti-e-nākām  kā  hāsil  samajhte  haiñ
vafā  kī  had  dikhā  kar  jalne  vaale  dil  ḳhudā-hāfiz
tujhe  bhī  ik  charāġh-e-Kushta-e-manzil  samajhte  haiñ
miTā  Daalā  mujhe  phir  bhī  ye  hai  bedād  kī  hasrat
abhī  fehrist-e-maujūdāt  meñ  shāmil  samajhte  haiñ
mirā  tarz-e-sulūk  is  raah  ke  rah-rau  na  samjheñge
magar  jo  rāhbar  rāh-e-haq-o-bātil  samajhte  haiñ
nisār-e-dost  hai  ye  motiyoñ  kā  be-bahā  maalā
har  ik  aañsū  ko  ham  TuuTā  huā  ik  dil  samajhte  haiñ
jinheñ  ma.alūm  hai  terī  nigāh-e-nāz  kā  aalam
vo  apne  zabt  ke  da.avoñ  ko  ḳhud  bātil  samajhte  haiñ
'azīz'  afkār-e-duniyā  aur  mashāġhil  sher-goī  ke
ahibbā  kī  mohabbat  hai  jo  is  qābil  samajhte  haiñ