Aziz Lakhnavi

ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki wahan kisi ka guzar nahin

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
ye ġhalat hai ai dil-e-bad-gumāñ ki vahāñ kisī kā guzar nahīñ
faqat is liye ye hijāb hai ki kisī ko tāb-e-nazar nahīñ
kaho kuchh haqīqat-e-mushtahar ki mujhe kahīñ kī ḳhabar nahīñ
ye manāzir-e-do-jahāñ haiñ kyā jo fareb-e-zauq-e-nazar nahīñ
kisī aah meñ nahīñ soz jab kisī naale meñ jab asar nahīñ
ye kamāl-e-sozish-e-dil nahīñ ye faroġh-e-dāġh-e-jigar nahīñ
chamak uTh rahī hai jo pai-ba-pai ye tajalliyoñ kā ḳhazāna hai
ye hujūm-e-barq-e-tapāñ nahīñ ye matā-e-dard-e-jigar nahīñ
ye hai ehtimām-e-hijāb kyuuñ ye hai band-o-bast-e-naqāb kyuuñ
tumheñ aañkh bhar ke maiñ dekh luuñ vo nazar nahīñ vo jigar nahīñ
vo rahīn-e-lazzat-e-ġham huuñ maiñ na milī azal meñ jise tarab
maiñ hī us karam kā thā muntazir maiñ hī mustahiq thā magar nahīñ
kabhī vaqt-e-nāz-o-niyāz hai kabhī mahv-e-zulf-e-ayāz hai
magar us pe bhī dil-e-ġhaznavī karam-āshnā-e-nazar nahīñ
ye tayyunāt-e-nizām the faqat ek parda-e-māsivā
ḳhabar us kī jab se huī mujhe koī is jahāñ kī ḳhabar nahīñ
tujhe kār-gāh-e-fanā batā inhī hastiyoñ pe ġhurūr hai
jo sharīk-e-sūd-o-ziyāñ nahīñ jo rahīn-e-naf-o-zarar nahīñ
chamak ai charāġh-e-zamīr ab ki tulūa mehr-e-kamāl ho
vo lahad huuñ tīra-o-tār maiñ ki jahāñ bayāz-e-sahar nahīñ
na vo soz hai na vo saaz hai na vo dil ḳhazāna-e-rāz hai
vo sharar huuñ jis meñ dhuāñ nahīñ vo hajar huuñ jis meñ sharar nahīñ
nazar us kī hai mirī samt abhī mirā dāman-e-goharīñ na dekh
abhī ḳhūn-e-dil hai rukā huā abhī āñsuoñ se ye tar nahīñ
chamak ai tajallī-e-dil-rubā nikal ai ḳhulāsa-e-duā
ki nazāra-e-do-jahāñ faqat ye ma.āl-e-zauq-e-nazar nahīñ
ye jubba-sā.ī-e-be-mahal mujhe shab ko de rahī thī ḳhabar
na miTā de zulmat-e-dahr jo vo nishān-e-sajda-e-dar nahīñ
ye taġhayyurāt-e-jahāñ nahīñ asar-e-talavvun-e-tab.a hai
tirī ik nazar kā karishma ye falak kī gardish-e-sar nahīñ
kaho sham.a se ki ye naql kyā koī apnā qissa-e-ġham kahe
kare ab fasāne ko muḳhtasar ki mujhe umīd-e-sahar nahīñ
hai talāsh apnī faqat mujhe maiñ milūñ to hoñgī shikāyateñ
mujhe ab kisī se gilā nahīñ mujhe ab kisī kī ḳhabar nahīñ
yahī manzileñ haiñ vo manzileñ ki jahannam un se panāh le
dil-e-nā-shanās-e-rah-e-vafā mujhe koī ḳhauf-o-ḳhatar nahīñ
mirī ġhaflatoñ kā gilā na kar yahī nazm-e-kaun-o-fasād hai
ḳhabar is tilism-e-numūd kī mujhe ho chukī hai magar nahīñ
sabaq us se le ki ḳhabar mile tujhe aane vaale zamāne kī
hai taġhayyurāt kā aa.ina ye shikasta kāsa-e-sar nahīñ
ye haiñ daar terī nigāh ke kisī nā-tavāñ se rukeñge kyā
dil-e-dāġh dāġh-e-'azīz' hai sitam-āzmā ye sipar nahīñ
Top Urdushayar.com