aur  kis  tarah  use  koī  qabā  dī  jaa.e
ek  tasvīr  hī  patthar  pe  banā  dī  jaa.e
taaki  phir  koī  na  parchhā.īñ  ke  pīchhe  dauḌe
apnī  bastī  meñ  chalo  aag  lagā  dī  jaa.e
ḳhuub  hai  ye  mirī  maḳhsūs  tabī.at  kā  ilaaj
har  tamannā  mirī  kāñToñ  pe  sulā  dī  jaa.e
apnī  hī  zaat  pe  hotā  hai  jo  saa.e  kā  gumāñ
tīrgī  shab  kī  kisī  taur  baḌhā  dī  jaa.e
ham  kisī  tarah  to  imroz  kī  talḳhī  samjheñ
ahd-e-rafta  kī  har  ik  baat  bhulā  dī  jaa.e
aao  dekheñ  na  koī  apnā  shanāsā  nikle
ajnabī  chehroñ  se  ye  gard  haTā  dī  jaa.e
dekhne  se  jise  āñkhoñ  meñ  añdherā  chhāyā
kis  ko  is  ḳhvāb  kī  ta.abīr  batā  dī  jaa.e
jab  muqaddar  hai  shab-o-roz  kī  be-kaifī  'sabā'
ḳhvāb  kī  tarah  har  ik  yaad  bhulā  dī  jaa.e