bū-e-ḳhush  kī  tarah  har  samt  bikhar  jā.ūñgā
āhanī  hāthoñ  se  ab  koī  dabā  de  mujh  ko
maiñ  to  muddat  se  chalā  aatā  huuñ  pīchhe  pīchhe
gardish-e-vaqt  kabhī  ruk  ke  sadā  de  mujh  ko
din  to  saarā  hī  kaTā  misl-e-charāġh-e-kushta
garmī-e-jism  sar-e-shām  jalā  de  mujh  ko
tum  mujhe  dekh  ke  jo  baat  kabhī  kah  na  sake
kyā  ye  mumkin  nahīñ  ā.īna  batā  de  mujh  ko
jin  ko  paane  se  haqīqat  bhī  fasāna  ban  jaa.e
ab  'sabā'  aise  sarāboñ  kā  patā  de  mujh  ko