ham  ne  ḳhāk-e-dar-e-mahbūb  jo  chehre  pe  malī
qissa-e-dard  chhiḌā  baat  se  phir  baat  chalī
kis  tarah  samjhūñ  mirā  ishq  hai  sargarm-e-safar
raah  bedār  huī  hai  na  kahīñ  sham.a  jalī
dil  ko  bahlā.eñ  ki  qadmoñ  ko  sambhāleñ  ham  log
jab  na.e  moḌ  pe  pahuñche  haiñ  to  ye  shaam  Dhalī
ye  mire  naqsh-e-qadam  vaqt  se  miT  sakte  haiñ
apne  siine  se  lagā.e  hai  jinheñ  terī  galī
ham  ne  har  tār-e-garebāñ  ko  banāyā  dāman
terī  yādoñ  ko  liye  bād-e-bahārī  jo  chalī
mujh  ko  is  barq  se  bas  itnā  hī  shikva  hai  'sabā'
āshiyāñ  jal  gayā  kyuuñ  shāḳh-e-nasheman  na  jalī