kahāñ  pe  bichhḌe  the  ham  log  kuchh  pata  mil  jaa.e
tumhārī  tarah  agar  koī  dūsrā  mil  jaa.e
hazāroñ  naqsh  nihāñ  hoñge  us  ke  siine  meñ
kabhī  kabhī  to  ye  ā.īna  boltā  mil  jaa.e
jilau  meñ  le  ke  chaleñ  saare  nā-tamām  se  ḳhvāb
na  jaane  kis  jagah  umr-e-gurez-pā  mil  jaa.e
na  jaane  kyā  kare  imroz  kā  ye  sannāTā
hamāre  maazī  kā  ik  lamha  chīḳhtā  mil  jaa.e
shikast-o-reḳht  kī  duniyā  meñ  huuñ  to  ḳhvāhish  hai
ḳhayāl  bikhrā  huā  jism  TūTtā  mil  jaa.e
maiñ  nazr  kar  duuñ  use  ye  lahūluhān  badan
fareb-ḳhurda  aqīdat  kā  qāfila  mil  jaa.e
agarche  hadd-e-nazar  tak  dhuāñ  dhuāñ  hai  fazā
isī  dayār  meñ  mumkin  hai  phir  'sabā'  mil  jaa.e