Akhtar Orenvi

hua hai teri mohabbat ka hausla saqi

Akhtar Orenvi

Munger, Bihar, India

1911-1977
huā hai terī mohabbat kā hausla saaqī
magar garāñ hai qanā.at kā marhala saaqī
nazar nazar meñ jagah DhūñDhtā rahā mai-kash
koī to jāntā rindī kā martaba saaqī
balā kashān-e-dar-e-mai-kada kahāñ jaa.eñ
qadam qadam hai qayāmat kā fāsla saaqī
mirī hayāt kā sab kuchh fazā-e-mai-ḳhāna
subū-o-jām tirā ek mashġhala saaqī
ye dasht-e-tishna-labī hai shikasta ḳheme haiñ
kahāñ gayā mire armāñ kā qāfila saaqī
amaañ se duur hai sahrā-e-ārzū kī tapish
hayāt-e-soz-e-tamannā kā aabla saaqī
hayāt kyā hai mohabbat hai kyuuñ jamāl hai kyā
na hal huā kabhī 'aḳhtar' kā mas.ala saaqī
Top Urdushayar.com