Abul Hasanat Haqqi

buland-o-past ka har-dam KHayal rakhna hai

Abul Hasanat Haqqi

buland-o-past har-dam ḳhayāl rakhnā hai

hamesha haath meñ kār-e-muhāl rakhnā hai

vo mujh se tālib-e-bai.at huā hai aur mujhe

junūñ ke haath pe dast-e-savāl rakhnā hai

koī to aa ke ginegā jarāhateñ dil

harā-bharā hameñ tāq-e-malāl rakhnā hai

mire charāġh lau se musābqat kaisī

mujhe usī pe urūj-o-zavāl rakhnā hai

kahīñ to ḳhatm huā hogā raat afsūñ

vahīñ pe uqda-e-sub.h-e-visāl rakhnā hai

shikast-e-be-hunarī sanad nahīñ miltī

giraft meñ abhī kilk-e-kamāl rakhnā hai

vo mehrbān nahīñ hai to phir ḳhafā hogā

koī to rābta us ko bahāl rakhnā hai

bajā.e us ke ki ham be-hisoñ meñ gin liye jaa.eñ

suḳhan ke saath husn-e-majāl rakhnā hai

nazar na aa.e qalam-rau meñ koī harf-e-junūñ

tamām zer-o-zabar pā.emāl rakhnā hai

Top Urdushayar.com