Abul Hasanat Haqqi

tamam hijr usi ka visal hai us ka

Abul Hasanat Haqqi

tamām hijr usī visāl hai us

maiñ rahā huuñ magar jaan o maal hai us

vo ziina ziina utarne lage to sab bujh jaa.e

vo baam par hai to sab māh-o-sāl hai us

maiñ qatl ho ke bhī sharminda apne-āp se huuñ

ki is ke ba.ad to saarā zavāl hai us

ugal rahī haiñ ḳhazāne khulī huī āñkheñ

ḳhabar karo ki ye sar pā.emāl hai us

hazār saal se huuñ tishna-e-savāl-o-javāb

maiñ itnā pyāsā huuñ sonā muhāl hai us

uThā.e haath to añgḌā.ī isti.āra bane

vo tāb-o-tab hai ki har dil ġhazāl hai us

qadam qadam shajar-e-sāya-dār paidā hai

ki mere saath safar meñ ḳhayāl hai us

vo le ke aayā hai apnī sarisht meñ shabnam

safar bhī jānib-e-bād-e-shimāl hai us

nigāh uTThe to shā.ista-e-junūñ ho jaa.eñ

havas ko said kare vo jamāl hai us

ḳhabar nahīñ thī ki yuuñ us meñ Duub jā.eñge

hamāre chehre pe rañg-e-malāl hai us

kabhī kabhī to baḌe zor se dhaḌaktā hai

ye merā dil nahīñ koī kamāl hai us

jo aayā hijr mausam to kyā kareñge ham

jo tajrabe meñ nahīñ vo savāl hai us

Top Urdushayar.com