Abul Hasanat Haqqi

be-niyaz dahr kar deta hai ishq

Abul Hasanat Haqqi

be-niyāz dahr kar detā hai ishq

be-zaroñ ko la.al-o-zar detā hai ishq

kam-nihād-o-be-sabāt insān meñ

jaane kyā kyā jam.a kar detā hai ishq

kaun jaane us ulTī mantiqeñ

TuuTe hāthoñ meñ sipar detā hai ishq

pahle kar detā hai sab aalam siyāh

aur phir apnī ḳhabar detā hai ishq

jaan denā khelte hañste hue

qatl hone hunar detā hai ishq

kaT gireñ aur phir bhī qaa.em haiñ safeñ

kitne baazū kitne sar detā hai ishq

sar-barahna haiñ anā gumbad jo the

āñdhiyoñ se sau ko bhar detā hai ishq

dard-mandī par jo qaa.em hoñ unheñ

nūr-afzā chashm-e-tar detā hai ishq

ek bojhal raat kaT jaane ke ba.ad

ek lamhe ko sahar detā hai ishq

ye samajh tum ko bhī hogī sāhibo

dil ko kyuuñ sho.aloñ meñ dhar detā hai ishq

chal nikalne irāda bāñdhiye

dekhiye samt-e-safar detā hai ishq

qadr hai jis ḳhiyām-e-hūr meñ

aabrū vo guhar detā hai ishq

Top Urdushayar.com