Javed Shaheen

nazzara ajab uske gareban ki taraf tha

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
nazzāra ajab us ke garebāñ kī taraf thā
har aañkh kā ruḳh sīna-e-uryāñ kī taraf thā
maiñ dekh rahā thā kahīñ jaltī huī sham.eñ
aur dhyān mirā dūd-e-pareshāñ kī taraf thā
maiñ leTā rahā ghaas pe saa.e meñ baḌī der
aage kā safar saarā bayābāñ kī taraf thā
do rāste the ek jagah rāz-e-jahāñ meñ
ik ghar kī taraf dūsrā zindāñ kī taraf thā
kuchh paḌ sā gayā dīda-e-mushtāq meñ us vaqt
jab garm-e-tamāshā kisī maidāñ kī taraf thā
taare ki utar aa.e the ik dasht-e-balā meñ
mahtāb kisī qarya-e-vīrāñ kī taraf thā
baiThā thā kahīñ husn-e-numā.ish-gah-e-ġham meñ
ruj.hān zarā shohrat-e-arzāñ kī taraf thā
ye kaise huā kyuuñ maiñ nikal aayā sar-e-rāh
jaanā to mujhe kūcha-e-jānāñ kī taraf thā
mahfil meñ vo kartā rahā ik chor se hushiyār
aur us kā ishāra mire mehmāñ kī taraf thā
āsār the āñdhī meñ baḌī chup sī fazā meñ
ruḳh vaqt ke dhāre kā bhī tūfāñ kī taraf thā
vo qāfila-e-gul ke guzar jaane kī ḳhabar thī
uḌtā huā jo rañg gulistāñ kī taraf thā
ik haath thā duniyā kā mirī jeb pe 'shāhīñ'
jo dūsrā thā mere garebāñ kī taraf thā
Top Urdushayar.com