vo  jo  shaḳhs  apne  hī  taaḌ  meñ  so  chhupā  hai  dil  hī  kī  aaḌ  meñ
na  vo  bastī  meñ  na  ujaaḌ  meñ  na  vo  jhaaḌ  meñ  na  pahāḌ  meñ
mujhe  kaam  tujh  se  hai  ai  junūñ  na  kahūñ  kisī  se  na  kuchh  sunūñ
na  kisī  kī  radd-o-qadah  meñ  huuñ  na  ukhāḌ  meñ  na  pachhāḌ  meñ
ye  sabā  ne  qais  se  aa  kahā  ki  sunā  kuchh  aur  bhī  mājrā
tire  paas  se  jo  chalā  gayā  to  khaḌā  hai  naaqa  ujaaḌ  meñ
are  aah  tū  ne  ġhazab  kiyā  mire  dil  ko  mujh  se  tuḌā  liyā
mirī  jī  ko  le  ke  jalā  diyā  paḌī  iḳhtilāt  ye  pahāḌ  meñ
ḳhafagī  bhī  turfa  hai  ek  shai  paḌe  qisse  hote  haiñ  lākhoñ  tai
vo  kahāñ  milāp  meñ  lutf  hai  jo  maza  hai  un  kī  bigāḌ  meñ
mizha  par  hai  pārā-e-dil  thañbā  vo  masal  huī  hai  ab  ai  ḳhudā
ki  daraḳht  se  jo  kabhī  girā  to  vo  aTkā  un  ke  hī  jhaaḌ  meñ
kahīñ  khiḌkiyoñ  kī  taraf  bañdhī  mirī  TikTikī  to  ai  lo  abhī
gul-e-nargis  aa  ke  lagā  ga.ī  vo  parī  har  ek  darāḌ  meñ
mirī  dil  meñ  nashshe  kā  hai  makāñ  mujhe  sūjhtī  haiñ  vo  mastiyāñ
ki  khajūrī  choTiyoñ  vāliyāñ  paḌī  phirtī  haiñ  mire  taaḌ  meñ
baḌī  dāḌhiyoñ  pe  na  jā  dilā  ye  sab  āhūoñ  kī  haiñ  mubtalā
ye  shikār  kaise  haiñ  barmalā  inhīñ  TaTTiyoñ  kī  to  aaḌ  meñ
khaḌī  jhāñktī  hai  vahī  parī  nahīñ  shub.h  is  meñ  to  vāqa.ī
vo  jo  itr-e-fitna  kī  baas  thī  so  rachī  huī  hai  kivāḌ  meñ
na  kar  apnī  jaan  ko  muzmahil  are  'inshā'  un  se  lagā  na  dil
tū  digar  na  hovegā  munfa.il  kahīñ  aa  gayā  jo  latāḌ  meñ