Insha Allah Khan 'Insha'

na to kaam rakhiye shikar se na to dil lagaiye sair se

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817

na to kaam rakhiye shikār se na to dil lagā.iye sair se

bas ab aage hazrat-e-ishq-jī chale jā.iye ghar ko ḳhair se

vo jo guTkā paare muñh meñ le paḌe uḌte phirte haiñ jogī-jī

so to bhartpur se udaas ho chale aa.e qila-e-dair se

nahīñ hote aam ke rū-ba-rū hameñ qibla ḳhaas hai aarzū

ki ḳhudā kare paḌe guftugū kisī pīr-o-murshid-e-dair se

kaho kis vasīle se shaiḳh ke shak-o-shub.h hove kamāl meñ

ki jo ne.amat aap ko pahuñchī hai so miyāñ-ġhulām-zubair se

jo ḳhafā hue to hue ajī jo laḌe-bhiḌe to laḌe sahī

gila hai so yār-e-azīz se na ki shikva sūrat-e-ġhair se

mujhe ik hayāt dobāra de usī qudrat apnī se ai ḳhudā

ki ḳhitāb-e-fiqra-e-kam-libast kiyā thā jin ne uzair se

vo jo hai alī-e-valī vasī hai mohammad-e-arabī aḳhī

so abd-e-ḳhās-e-karīm hai use dushmanī hai nusair se

yahī chaal apnī hai 'inshā' ab kabhī to daraḳhtoñ se ḳhalte haiñ

kabhī hai sabā se ḳhitāb kuchh kabhī vahsh se kabhī tair se

Top Urdushayar.com