Insha Allah Khan 'Insha'

achchha jo KHafa humse ho tum ai sanam achchha

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817

achchhā jo ḳhafā ham se ho tum ai sanam achchhā

lo ham bhī na boleñge ḳhudā qasam achchhā

mashġhūl kiyā chāhiye is dil ko kisī taur

le leveñge DhūñD aur koī yaar ham achchhā

garmī ne kuchh aag aur bhī siine meñ lagā.ī

har taur ġharaz aap se milnā kam achchhā

aġhyār se karte ho mire sāmne bāteñ

mujh par ye lage karne nayā tum sitam achchhā

ham mo.atakif-e-ḳhalvat-e-but-ḳhāna haiñ ai shaiḳh

jaatā hai to pa.e-tauf-e-haram achchhā

jo shaḳhs muqīm-e-rah-e-dildār haiñ zāhid

firdaus lage un ko na bāġh-e-iram achchhā

kah kar ga.e aatā huuñ koī dam ko abhī maiñ

phir de chale kal tarah mujh ko dam achchhā

is hasti-e-mauhūm se maiñ tañg huuñ 'inshā'

vallāh ki is se ba-marātib adam achchhā

Top Urdushayar.com