Insha Allah Khan 'Insha'

bandagi humne to ji se apni Thani aap ki

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817

bandagī ham ne to se apnī Thānī aap

banda-parvar ḳhair aage qadr-dānī aap

thī jo vo laahī Topī zāfrānī aap

so hamāre paas hai ab tak nishānī aap

dam-ba-dam kah baiThnā bas jaao apnī un ke paas

kyuuñ nahīñ jaatī vo ab tak bad-gumānī aap

kyā kahūñ maare ḳhushī ke haal merā kyā huā

aamad aamad jo huī kal nā-gahānī aap

hai kisī se aaj va.ada kuchh ajī ḳhālī nahīñ

ye dhaḌe missī hoñToñ par jamānī aap

ham ne sau rāteñ jagā.īñ tab huā ye ittifāq

so usī din ko dharī thī niiñd aanī aap

mere haq meñ ab jo ye irshād farmāyā ki hai

ḳhuub yaañ manqūsh-ḳhātir jāñ-fishānī aap

lek maiñ oḌhūñ bichhā.ūñ lapeTūñ kyā karūñ

rūkhī phīkī aisī sūkhī mehrbānī aap

kyuuñ na ishq-allāh bolūñ hazrat-e-dil aap ko

peshvāoñ ne bhī apnī aan maanī aap

diid kar Daalā bas un se ālam-e-lāhūt sabt

jis ne lagdī bañk saafī meñ chhānī aap

apnī āñkhoñ meñ paḌī phirtī hai ab tak roz-o-shab

arsh par daatā vahī sūrat dikhānī aap

ai junūñ ustād bas ḳham Thoñk kar aa jā.iye

haañ ḳhalīfa ham bhī dekheñ pahalvānī aap

sadqa sadqa kyuuñ na ho jā.ūñ bhalā ġhash khā ke maiñ

dekh gadrā.ī huī uThtī javānī aap

sabza-āġhāzī so ye kuchh tispe aafat sādgī

qahr phir us baat par gardan hilānī aap

apnī āñkhoñ meñ tarāvaT aa ga.ī yak-bārgī

dekh kar ye lahlahe poshāk dhānī aap

kyuuñ na laḌkī sab kaheñ havvā tumheñ ai shaiḳh jiyu

hai jamūḳhī sūrat ye Darānī aap

gol pagḌī niilī luñgī mūñchh munDī takiya riish

phir vo rūmāl aur vo āḳh-thū nāsdānī aap

do gulābī ke saaqī ne kahā 'inshā' ko raat

zāfrānī merā hissa arġhavānī aap

Top Urdushayar.com