Insha Allah Khan 'Insha'

kash abr kare chadar-e-mahtab ki chori

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817
kaash abr kare chādar-e-mahtāb kī chorī
tā mujh se bhī ho jām-e-mai-e-nāb kī chorī
Tuk takiya pe sar dhar ke rahā so to lagā.ī
sāhab ne hameñ masnad-e-kam-ḳhvāb kī chorī
sīmāb ke aañsū vo sadā ro.e ilāhī
kī jis ne ho mere dil-e-betāb kī chorī
vo ishq ki sach ā.ankhoñ se kājal ko churā le
kis tarah na āshiq ke kare ḳhvāb kī chorī
mujh ko sar-e-bāzār ghisaTvā ke nikālā
kī us ne hī kuchh ḳhāna-e-navvāb kī chorī
jis ne ki mire chehre se aab aah uḌā le
sābit huī us par dur-e-nāyāb kī chorī
shab sendh jo dī daaġh kī ek chor ne 'inshā'
to ho ga.ī sab sabr ke asbāb kī chorī
Top Urdushayar.com