Insha Allah Khan 'Insha'

lab pe aai hui ye jaan phire

Insha Allah Khan 'Insha'

Murshidabad, West Bengal, India

1753-1817

lab pe aa.ī huī ye jaan phire

yaar gar is taraf ko aan phire

chain kyā ho hameñ jab aaTh pahar

apne āñkhoñ meñ vo javān phire

ḳhūn-e-āshiq chhuTā ki hai lāzim

tere talvār par ye saan phire

sāqiyā aaj jām-e-sahbā par

kyuuñ na lahrātī apnī jaan phire

hichkiyāñ hai is tarah bat-e-mai

jis tarah gaTkarī meñ taan phire

to vo ahd the ki ham hargiz

na phireñge agar jahān phire

aa.e ab roke ho ma.āz-allāh

aap se shaḳhs zabān phire

ruuTh kar uTh chale the 'inshā' se

baare phir ho ke mehrbān phire

Top Urdushayar.com