talḳhī-e-hālāt-e-daurāñ  kā  bayāñ  hai  zindagī
dard-o-ġham  kī  ik  musalsal  dāstāñ  hai  zindagī
allāh  allāh  ye  safar  ye  raah  ye  dushvāriyāñ
vaqt  ke  shānoñ  pe  ik  bār-e-girāñ  hai  zindagī
jin  kī  halchal  meñ  hai  tūfānī  havāoñ  kā  ḳharosh
un  taḌaptī  ārzūoñ  kā  jahāñ  hai  zindagī
shiddat-e-ehsās-e-nākāmī  kī  ātish-gāh  se
ḳhirman-e-jazbāt  par  shola-fishāñ  hai  zindagī
hai  kise  ab  zindagī  ke  dard-e-pinhāñ  kī  ḳhabar
apnī  barbādī  kī  ḳhud  hī  rāz-dāñ  hai  zindagī
ye  umīdoñ  kā  chaman  hai  rashk-e-sad  husn-e-chaman
is  chaman  kī  ik  bahār-e-jāvedāñ  hai  zindagī
hai  usī  ke  nuur  se  tābānī-e-kaun-o-makāñ
zulmat-e-bazm-e-jahāñ  meñ  zau-fishāñ  hai  zindagī
us  kī  marzī  par  hai  har  qaid  o  rihā.ī  munhasir
ḳhud  qafas  hai  aur  ḳhud  hī  āshiyāñ  hai  zindagī
'naqsh'  dard-e-qaum  hai  qalb  o  jigar  meñ  shola-zan
jazba-e-ahl-e-vatan  kī  tarjumāñ  hai  zindagī