hameñ  to  harf-e-tamannā  zabāñ  pe  laanā  hai
ye  sher  aur  ye  ġhazleñ  to  bas  bahānā  hai
tumhāre  haath  kā  patthar  koī  nayā  to  nahīñ
jabīñ  se  sañg  kā  rishta  bahut  purānā  hai
ho  tere  husn  kā  jaadū  ki  merā  josh-e-talab
nasha  ye  donoñ  kā  ik  din  utar  hī  jaanā  hai
vo  musht-e-ḳhāk-badan  ho  ki  jaan  kī  ḳhushbū
har  ek  chiiz  ko  ik  din  bikhar  hī  jaanā  hai
hai  jazb-e-shauq  barābar  magar  ba-faiz-e-anā
na  ham  hī  jā.eñge  un  tak  na  un  ko  aanā  hai