sitam  tū  kartā  hai  lekin  duā  bhī  detā  hai
mirā  harīf  mujhe  hausla  bhī  detā  hai
hai  jis  kā  ek  tabassum  qarār-e-jāñ  apnā
usī  kā  tarz-e-taġhāful  rulā  bhī  detā  hai
bajā  ki  hijr  kā  aalam  azaab  hai  yaaro
magar  ye  arsa-e-furqat  mazā  bhī  detā  hai
hai  dil-navāz  ġhazab  kā  magar  ye  sho.ala-e-ishq
kabhī  shagūfa-e-dil  ko  jalā  bhī  detā  hai
kabhī  hai  maut  meñ  pinhāñ  najāt  kā  pahlū
kabhī  vo  ziist  kī  sūrat  sazā  bhī  detā  hai