ārzūoñ  kā  hasīñ  paikar  tarāsh
ik  sarāb-e-sub.h  kā  manzar  tarāsh
ik  gharauñdā  reg-e-sāhil  se  banā
barf  ke  patthar  se  ik  dilbar  tarāsh
dīda-e-namnāk  se  dariyā  bahā
āh-e-sho.ala-bār  se  mahshar  tarāsh
is  hisār-e-zāt  se  bāhar  nikal
gumbad-e-be-dar  meñ  tū  ik  dar  tarāsh
bahr-e-ishrat  meñ  sadaf  miltā  nahīñ
qatra-e-ḳhūñ-nāb  se  gauhar  tarāsh
teġh-e-zañg-ālūd  ko  phir  aab  de
jabr-o-istibdād  ke  phir  sar  tarāsh
tā.ir-e-ḳhvāhish  kī  lambī  hai  uḌaan
us  ke  bāl-o-par  ko  tū  akasr  tarāsh