Javed Shaheen

tarz mere rizq ki thoDi badal jaane ke baad

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
tarz mere rizq kī thoḌī badal jaane ke ba.ad
ibtidā kartā huuñ din kī din ke Dhal jaane ke ba.ad
phir chalī jaatī hai dariyā kī khulī āġhosh meñ
mauj-e-sāhil par khaḌī do-pal machal jaane ke ba.ad
maiñ yuuñ hī us ko bhulā dene ke dhoke meñ rahā
dil hī meñ thā vo mire dil se nikal jaane ke ba.ad
kaam apnā muñh añdhere ḳhatm kar letī hai raat
ik siyāhī sub.h ke chehre pe mal jaane ke ba.ad
ghūmne phirne de us ko ik udāsī meñ abhī
ḳhud haqīqat jaan legā kuchh sambhal jaane ke ba.ad
mo.ajiza fan kā yahī hai aur yahī merā kamāl
phir se jī uThtā huuñ ik ātish meñ jal jaane ke ba.ad
rok rakkhā hai mujhe 'shāhīñ' zamistāñ ne kahīñ
chal paḌūñgā barf thoḌī sī pighal jaane ke ba.ad
Top Urdushayar.com