be-had  bechainī  hai  lekin  maqsad  zāhir  kuchh  bhī  nahīñ
paanā  khonā  hañsnā  ronā  kyā  hai  āḳhir  kuchh  bhī  nahīñ
apnī  apnī  qismat  sab  kī  apnā  apnā  hissa  hai
jism  kī  ḳhātir  lākhoñ  sāmāñ  ruuh  kī  ḳhātir  kuchh  bhī  nahīñ
us  kī  baazī  us  ke  mohre  us  kī  chāleñ  us  kī  jiit
us  ke  aage  saare  qādir  māhir  shātir  kuchh  bhī  nahīñ
us  kā  honā  yā  nā  honā  ḳhud  meñ  ujāgar  hotā  hai
gar  vo  hai  to  bhītar  hī  hai  varna  ba-zāhir  kuchh  bhī  nahīñ
duniyā  se  jo  paayā  us  ne  duniyā  hī  ko  sauñp  diyā
ġhazleñ  nazmeñ  duniyā  kī  haiñ  kyā  hai  shā.ir  kuchh  bhī  nahīñ