maiñ  ne  apnā  haq  māñgā  thā  vo  nāhaq  hī  ruuTh  gayā
bas  itnī  sī  baat  huī  thī  saath  hamārā  chhūT  gayā
vo  merā  hai  āḳhir  ik  din  mujh  ko  mil  hī  jā.egā
mere  man  kā  ek  bharam  thā  kab  tak  rahtā  TuuT  gayā
duniyā  bhar  kī  shān-o-shaukat  jyuuñ  kī  tyuuñ  hī  dharī  rahī
mere  bai-rāgī  man  meñ  jab  sach  aayā  to  jhuuT  gayā
kyā  jaane  ye  aañkh  khulī  yā  phir  se  koī  bharam  huā
ab  ke  aise  uchaTā  dil  kuchh  chhoḌā  aur  kuchh  chhūT  gayā
laḌte  laḌte  āḳhir  ik  din  panchhī  kī  hī  jiit  huī
parān  pakherū  ne  tan  chhoḌā  ḳhālī  piñjra  chhūT  gayā