donoñ  meñ  kitnā  farq  magar  donoñ  kā  hāsil  tanhā.ī
apnoñ  meñ  duurī  laatī  hai  vo  shohrat  ho  yā  rusvā.ī
jīvan  ke  kore  kāġhaz  par  jiinā  hogā  tahrīroñ  meñ
ujle  pannoñ  par  syāhī  se  karnī  hogī  harf-ārā.ī
ham  haiñ  us  kā  hī  aks  magar  hai  biich  meñ  jīvan  kā  darpan
jab  TūTegā  jīvan-darpan  tab  zāhir  hogī  sachchā.ī
pahle  to  ḳhud  se  duur  kiyā  phir  sazā  sunā.ī  jiine  kī
jī  chuke  to  ye  farmān  milā  ab  phir  se  hogī  sunvā.ī
vo  ḳhud  meñ  mukammal  hai  to  phir  kyūñkar  vo  ḳhud  meñ  rah  na  sakā
kyuuñ  bikhar  gayā  zarra  zarra  kyuuñ  sah  na  sakā  vo  tanhā.ī