Obaidullah Khan Mubtala

sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa

Obaidullah Khan Mubtala

sad-haif ki kamzor hai chashmān buḌhāpā
sustī satī jumbish meñ hai dandān buḌhāpā
az bas-ki huā haigā guzar fasl-e-ḳhizāñ kā
raunaq nahīñ rakhtā hai gulistān buḌhāpā
arbal ke bhañvar meñ ga.ī hai Duub javānī
jis vaqt uThā jag mane tūfān buḌhāpā
tasbīh-o-musallā-o-asā ainak-o-ra.asha
joban ne diyā bhej ye sāmān buḌhāpā
ġhaflat kī ruī duur na kī shīsha-e-dil suuñ
mai-ḳhāne meñ mastāñ ne sun ilhān buḌhāpā
ash.ār haiñ tārīf sapedī kī sarāpā
is vāste rañgīñ nahīñ dīvān buḌhāpā
joban ke bhavan meñ lagī hai ātish-e-garmī
chhiḌke hai tahūr aab zamistān buḌhāpā
gardūñ kī tarah ḳham huā qad qaus-e-quzah kā
khīñchā hai magar zo.af suuñ kaivān buḌhāpā
amrāz kī afvāj kā yūrish hai badan par
is mulk meñ maġhlūb hai sultān buḌhāpā
ab bulbul-e-jāñ tañg huā tan ke qafas meñ
parvāz kare dekh ke zindān buḌhāpā
lazzat nahīñ detā hai dahan biich kasū ke
ai 'mubtalā' kyā sard haigā naan buḌhāpā
Top Urdushayar.com