Obaidullah Khan Mubtala

tujh but ka hun main barahman kartar ki saugand hai

Obaidullah Khan Mubtala

tujh but kā huuñ maiñ barahman kartār kī saugand hai
japtā huuñ maalā yaar kī zunnār kī saugand hai
bāñkā husn sun kar tirā ḳhūbāñ ne khāyā pech-o-tāb
ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dār kī saugand hai
ḳhūbāñ kī ḳhūbī hai ḳhizāñ terī bahār aañge sadā
āshiq kuuñ ai gulfām tujh ruḳhsār kī saugand hai
rakhtā huuñ tujh suuñ chashm ye dil ai mah-e-nūr-e-nazar
aa ke ḳhabar ik roz mujh bīmār kī saugand hai
dariyā-e-vahdat meñ tire ai gauhar-e-yaktā-e-husn
paayā nahīñ saanī tirā sansār kī saugand hai
bin haar aa.e gul-ruḳhāñ tere gale paḌne katīñ
jiitā to baare husn ke mizmār kī saugand hai
sharmindagī suuñ jā chhupāyā quvvat apnī kaan meñ
sun kar dur-afsānī tirī guftār kī saugand hai
shamshīr-e-abrū bāñdh kar aayā sipāhī nain kā
do Tok dil haiñ āshiqāñ talvār kī saugand hai
sehn-e-chaman meñ gul-badan tan-zeb kiiñ tujh jaama kuuñ
nain sukh hai terā dekhnā dīdār kī saugand hai
tujh hijr meñ dil kī fuġhāñ suuñ aañkh na.iiñ lagtī kabhī
kamḳhvāb hai maḳhmal mirā shab-e-tār kī saugand hai
ushshāq kuuñ ruḳhsat kiyā de paañ ḳhirad kā yaar ne
rotā hai nis din 'mubtalā' ghar-bār kī saugand hai
Top Urdushayar.com