tujh  but  kā  huuñ  maiñ  barahman  kartār  kī  saugand  hai
japtā  huuñ  maalā  yaar  kī  zunnār  kī  saugand  hai
bāñkā  husn  sun  kar  tirā  ḳhūbāñ  ne  khāyā  pech-o-tāb
ai  nuk-palak  tujh  chehra-e-bal-dār  kī  saugand  hai
ḳhūbāñ  kī  ḳhūbī  hai  ḳhizāñ  terī  bahār  aañge  sadā
āshiq  kuuñ  ai  gulfām  tujh  ruḳhsār  kī  saugand  hai
rakhtā  huuñ  tujh  suuñ  chashm  ye  dil  ai  mah-e-nūr-e-nazar
aa  ke  ḳhabar  ik  roz  mujh  bīmār  kī  saugand  hai
dariyā-e-vahdat  meñ  tire  ai  gauhar-e-yaktā-e-husn
paayā  nahīñ  saanī  tirā  sansār  kī  saugand  hai
bin  haar  aa.e  gul-ruḳhāñ  tere  gale  paḌne  katīñ
jiitā  to  baare  husn  ke  mizmār  kī  saugand  hai
sharmindagī  suuñ  jā  chhupāyā  quvvat  apnī  kaan  meñ
sun  kar  dur-afsānī  tirī  guftār  kī  saugand  hai
shamshīr-e-abrū  bāñdh  kar  aayā  sipāhī  nain  kā
do  Tok  dil  haiñ  āshiqāñ  talvār  kī  saugand  hai
sehn-e-chaman  meñ  gul-badan  tan-zeb  kiiñ  tujh  jaama  kuuñ
nain  sukh  hai  terā  dekhnā  dīdār  kī  saugand  hai
tujh  hijr  meñ  dil  kī  fuġhāñ  suuñ  aañkh  na.iiñ  lagtī  kabhī
kamḳhvāb  hai  maḳhmal  mirā  shab-e-tār  kī  saugand  hai
ushshāq  kuuñ  ruḳhsat  kiyā  de  paañ  ḳhirad  kā  yaar  ne
rotā  hai  nis  din  'mubtalā'  ghar-bār  kī  saugand  hai