jis  kī  har  baat  meñ  qahqaha  jazb  thā  maiñ  na  thā  dosto
vo  jo  hañstā  hañsātā  thā  is  shahr  meñ  ho  liyā  dosto
ek  ek  kar  ke  ahl-e-ilm  chal  diye  shahr  vīrān  hai
ek  le-de  ke  maiñ  bach  rahā  huuñ  so  mujh  meñ  hai  kyā  dosto
ek  do  phuul  the  sukh  ke  Tahnī  pe  so  vo  bhī  murjhā  ga.e
varna  is  peḌ  pe  har  samay  har  taraf  rañg  thā  dosto
bā-vafā  mehrbāñ  sab  ke  sab  shahr  se  ho  chuke  the  bidā
jab  yahāñ  aa.e  the  ham  vafā  mehr  kā  kaal  thā  dosto
ek  lamhe  vo  mujh  paas  chup-chāp  sā  baiTh  kar  uTh  gayā
dil  se  uThtā  rahā  muddatoñ  muddatoñ  shor  sā  dosto
ham  havas  kī  tarah  ishq  karte  rahe  ruuh  bhī  jism  bhī
apnī  bedāriyoñ  kā  sila  ḳhvāb  hī  ḳhvāb  thā  dosto
ye  na  milnā  bhī  ik  aur  ehsān  hai  bevafā.ī  nahīñ
haal  dekhā  na  jaatā  thā  ahbāb  se  'ashk'  kā  dosto