Bimal Krishn Ashk

mom hai aankhon ka patthar dekh to

Bimal Krishn Ashk

1924-1982

mom hai āñkhoñ patthar dekh to

jaise maiñ royā huuñ ro kar dekh to

ġham manzil is qadar suunī nahīñ

do-ghaḌī hamrāh chal kar dekh to

raah meñ bhī tujh se tanhā log haiñ

ghar meñ hai ghar se nikal kar dekh to

rukī to khiḌkiyāñ khulne lagīñ

har darīche meñ hai ḳhanjar dekh to

tere jalvoñ se makāñ bhar jā.egā

aks hai ā.īna ban kar dekh to

maiñ bhī shāyad sakūñ tere baġhair

ek din mujh se bichhaḌ kar dekh to

ḳhāmushī daur ruḳhsat ho chukā

maan jā.egā kah kar dekh to

ne jis jalve ko parda kar diyā

ghūmtā-phirtā hai ghar ghar dekh to

terī āñkheñ bhī bhar aa.eñ ġhāliban

bhī merā naam le kar dekh to

gore gāloñ meñ gaḌhe paḌ jā.eñge

ashk' un ko gudgudā kar dekh to

Top Urdushayar.com