jab  chaudhvīñ  kā  chāñd  nikaltā  dikhā.ī  de
vo  gerua  libās  badaltā  dikhā.ī  de
dariyā-e-zindagī  ki  nigāhoñ  kā  hai  qusūr
Thahrā  dikhā.ī  de  kabhī  chaltā  dikhā.ī  de
paḌne  lage  jo  zor  havas  kā  to  kyā  nigāh
har  zāviye  se  jism  nikaltā  dikhā.ī  de
bahrūpiye  ke  haath  paḌe  haiñ  so  raat  din
din  raat  rañg-rūp  badaltā  dikhā.ī  de
rakkhe  hai  yuuñ  to  paañv  sambhal-soch  kar  magar
nazroñ  kā  farsh  hai  ki  phisaltā  dikhā.ī  de
us  naam  meñ  vo  shola-garī  hai  jo  lījiye
har  room  meñ  charāġh  sā  chaltā  dikhā.ī  de
maiñ  'ashk'  shakl  naam  se  vāqif  nahīñ  magar
ik  shaḳhs  hai  jo  saath  hī  chaltā  dikhā.ī  de