dil  kī  zabāñ  se  us  ko  sadā  denā  chāhiye
baiThe  galā  to  aise  bulā  lenā  chāhiye
nazreñ  churā  bachā  ke  uThā  lenā  chāhiye
auroñ  ke  dard  kā  bhī  mazā  lenā  chāhiye
bistar  pe  āsmān  ke  ThiThure  hai  chandr-mā
bādal  idhar-udhar  se  dabā  lenā  chāhiye
kāñdhe  samay  ke  bojh  se  shal  ho  ga.e  to  kyā
ye  bojh  muskurā  ke  uThā  lenā  chāhiye
kuchh  gumrahī  tumheñ  pe  nahīñ  farz  rahravo
manzil  ko  bhī  to  raah  meñ  aa  lenā  chāhiye
aise  buzurg  baḳht  rahā  jin  kā  nā-rasā
aisoñ  se  zindagī  kī  duā  lenā  chāhiye
aa.ina  tak  to  ulTī  kahe  hai  agar  fareb
khānā  ho  koī  dost  banā  lenā  chāhiye
un  ko  parā.e  'ashk'  lageñ  haiñ  agar  aziiz
ġhairoñ  meñ  apnā  naam  likhā  lenā  chāhiye