rote  rote  tanhā  chalte  girte-paḌte  thak  sā  gayā  huuñ
koī  āñchal  koī  sāthī  koī  sahārā  DhūñD  rahā  huuñ
rañg-birañge  kapḌoñ  meñ  ik  majma.a  mele  se  aayā  hai
koī  chehra  un  chehroñ  meñ  tere  jaisā  DhūñD  rahā  huuñ
ai  gulshan  ke  rahne  vaalo  meñ  tum  ko  kyā  yaad  karūñgā
phuul  nahīñ  to  kāñTe  bhar  do  jholī  phailā.e  baiThā  huuñ
pahle  ḳhud  ko  to  samjhā  le  auroñ  ko  samjhāne  vaale
tū  bhī  ḳhud  meñ  ik  aalam  hai  maiñ  bhī  ḳhud  meñ  ik  duniyā  huuñ
chanchal  begāna  saudā.ī  hañsmukh  farzāna  harjā.ī
ek  zarā  sā  jism  hai  jis  meñ  chhe  chhe  'ashk'  liye  phirtā  huuñ