jism  meñ  ḳhvāhish  na  thī  ehsās  meñ  kāñTā  na  thā
is  tarah  jaagā  ki  jaise  rāt-bhar  soyā  na  thā
ab  yahī  dukh  hai  hamīñ  meñ  thī  kamī  us  meñ  na  thī
us  ko  chāhā  thā  magar  apnī  tarah  chāhā  na  thā
jaane  vaale  vaqt  ne  dekhā  thā  muḌ  kar  ek  baar
go  hameñ  pahchāntā  kam  thā  magar  bhūlā  na  thā
ham  bahut  kaafī  the  apne  vāste  jaise  bhī  the
koī  ham  sā  dost  koī  ham  sā  begāna  na  thā
ajnabī  rāheñ  na  jaane  kis  tarah  āvāz  deñ
jab  safar  par  chal  paḌe  the  kis  liye  sochā  na  thā
paañv  kā  chakkar  liye  phirtā  rahegā  dosto
aur  phir  sochoge  apne  shahr  meñ  kyā  kyā  na  thā
ham  bhī  un  rātoñ  meñ  thālī  par  diyā  rakh  kar  chale
jab  shivāle  kī  imārat  kā  koī  dar  vā  na  thā
farz  kī  manzil  ne  merī  gumrahī  bhī  chhīn  lī
varna  'ashk'  is  rastī-bastī  raah  meñ  kyā  kyā  na  thā