vo  rañg-o-bū  hai  ki  āñkhoñ  ko  sūjhtā  bhī  nahīñ
vo  phuul  dil  meñ  makīñ  hai  ki  jo  khilā  bhī  nahīñ
ye  terī  yaad  ki  dil  se  panāh  māñgtī  hai
ye  dil  ki  jis  se  nikalne  kā  rāsta  bhī  nahīñ
jo  mujh  ko  DhūñD  rahā  thā  mire  makān  se  duur
vo  mere  dil  meñ  makīñ  ho  ke  boltā  bhī  nahīñ
kabhī  kabhī  to  havas  sub.h-dam  uchhāltī  hai
vo  ashk  jin  meñ  koī  gauhar-e-vafā  bhī  nahīñ
ham  apnī  khoj  meñ  aisī  jagah  nikal  aa.e
vo  mil  gayā  ki  jo  kahiye  ki  thā  to  thā  bhī  nahīñ
har  aañkh  barf  huī  jā  rahī  hai  hasrat  se
qarīb-o-dūr  koī  sho.ala-e-hinā  bhī  nahīñ
vo  jis  ke  ruḳh  pe  zabāñ  haiñ  baḌī  baḌī  āñkheñ
koī  qarīb  se  guzre  to  dekhtā  bhī  nahīñ
mirī  hī  god  meñ  hai  aur  mujhī  se  pūchhtā  hai
vo  naam  kyā  hai  ki  jo  tujh  ko  bhūltā  bhī  nahīñ
maiñ  terā  dard  samajh  lūñgā  kyūñki  tujh  sā  huuñ
na  hañs  sake  to  mirī  tarah  muskurā  bhī  nahīñ
shab-e-firāq  sahī  us  kī  aañkh  to  lag  jaa.e
vo  aah  kījiye  kaise  ki  jo  ravā  bhī  nahīñ