dil  ai  dil  ye  tarz  nahīñ  kuchh  ishq  ke  ohde-dāroñ  kī
sunte  ho  majbūroñ  kī  aur  kahte  ho  muḳhtāroñ  kī
phir  maujoñ  se  chīḳh  sī  uTThī  mujh  ko  to  ye  dhokā  hai
ga.ī  raat  bhī  patvāroñ  se  ḳhuub  nibhī  mañjdhāroñ  kī
yaad  dilā  dī  hai  sūraj  ke  ās-pās  ik  badlī  ne
kaalī  qamīsoñ  ke  saa.e  meñ  dhuup  saped  ġharāroñ  kī
pīpal  ke  pattoñ  ke  saa.e  kab  tak  tumheñ  sarāheñge
ek  na  ik  din  qismat  jaag  uThegī  rāh-guzāroñ  kī
ai  gul-e-dāman-e-rashk-e-gulistāñ  ham  se  hamārā  haal  na  pūchh
sehn-e-chaman  ke  vīrānoñ  meñ  sūrat  dekh  bahāroñ  kī
ik  bujhtī  lakḌī  se  ik  sho.ala  lahrāyā  hai  jis  vaqt
ḳhāna-ba-doshoñ  ke  ḳheme  meñ  baat  chhiḌī  maTiyāroñ  kī
tere  hijr  meñ  jaam  na  khankeñ  patta  na  khaḌke  aah  na  ho
kis  dariyā  meñ  Duub  mareñ  āvāzeñ  chaukī-dāroñ  kī
us  be-ruḳh  ne  bedardī  se  rātoñ  rātoñ  rulvāyā
dard  kā  had  se  baḌh  jaanā  Thahrī  jo  davā  bīmāroñ  kī
aao  ik  do  pal  sustā  leñ  maazī  kī  dīvār  tale
sej  bhī  hai  nauras  kaliyoñ  kī  barkhā  bhī  añgāroñ  kī
aise  kahāñ  nasīb  hamāre  bāyāñ  añg  phaḌak  uTThe
kaun  ḳhabar  hai  dukhiyā  jaag  meñ  ham  paapī  dukhiyāroñ  kī
ham  ko  kisī  se  gilā  nahīñ  hai  jaan  ga.e  pahchān  ga.e
vīrāñ  diloñ  ke  vīrāne  haiñ  duniyā  duniyā-dāroñ  kī
ek  zamāna  guzrā  ham  bhī  tere  shahr  ke  baasī  the
aaj  bhī  āñkhoñ  meñ  phirtī  hai  sūrat  tere  dayāroñ  kī
go  qadmoñ  se  judā  hue  vo  rāh-guzāreñ  der  huī
lekin  dil  par  jam  sī  ga.ī  hai  dhuul  in  rāh-guzāroñ  kī
ḳhair  un  dinoñ  to  chāk-garebānoñ  kī  izzat  hotī  thī
aaj  to  ḳhair  se  tere  shahr  meñ  izzat  hai  dastāroñ  kī
'ashk'  mire  ash.ār  ke  ātish-pāroñ  se  dhīre  dhīre
bastī  bastī  phail  rahī  hai  aañch  in  ke  ruḳhsāroñ  kī