jo  barf-zār  chiir  de  aisī  kiran  bhī  lā
patthar  diloñ  meñ  aaj  koī  kohkan  bhī  lā
is  tarah  sarsarī  mirā  bāb-e-vafā  na  likh
vaqt-e-shumār  zaḳhm  mirā  ḳhasta-tan  bhī  lā
munsif  agar  banā  hai  to  sab  ko  gavāra  rakh
insāf  hai  to  merā  phaTā  pairahan  bhī  lā
jalne  lage  haiñ  pyaas  se  phūloñ  ke  ḳhushk  hoñT
abr-e-bahār  ko  zarā  sū-e-chaman  bhī  lā
chup-chāp  ḳhalvatoñ  meñ  pighalne  se  fā.eda
koī  charāġh  hai  to  sar-e-anjuman  bhī  lā
itnā  vo  shādmāñ  mujhe  achchhā  nahīñ  lagā
is  gul  ke  dil  meñ  daaġh  kī  thoḌī  jalan  bhī  lā
zaḳhm-e-safar  ke  dard-e-musalsal  kā  sehr  toḌ
niklā  huā  vatan  se  ġharīb-ul-vatan  bhī  lā
ye  chashm-e-iltifāt  hī  kaafī  nahīñ  mujhe
mere  liye  to  narmī-e-kām-o-dahan  bhī  lā
'shāhīn'  se  aziiz  hai  apnā  lahū  to  kyā
na.ash-e-shahīd  ke  liye  ḳhūnīñ  kafan  bhī  lā