khule  jo  aah  meñ  bāb-e-asar  na  pahchāne
ḳhushī  kā  rañg  ġham-e-mo'tabar  na  pahchāne
uḌe  jo  chiil  to  dekhe  lahū  kī  jhiil  meñ  aks
shafaq  Dhale  to  sharīk-e-safar  na  pahchāne
ugeñ  jo  phuul  to  dhartī  bhalī  bhalī  sī  lage
zamīñ  kā  dard-e-tasavvur  magar  na  pahchāne
havas  ki  ziist  kare  rail  ke  safar  kī  tarah
safar  ke  ba.ad  sharīk-e-safar  na  pahchāne
tamām-rāt  kā  jaltā  huā  diyā  na  bujhe
shab-e-firāq  naved-e-sahar  na  pahchāne
nigāh  jaatī  to  hai  ruk  na  jā.iyo  us  paas
palaT  bhī  aa.iyo  jo  vo  nazar  na  pahchāne