kal  raat  yuuñ  huā  ki  pahar-do-pahar  ga.e
koī  kuchh  aise  chīḳh  paḌā  log  Dar  ga.e
Duubā  ġharīb  chāñd  to  agnī  baras  paḌī
vo  dhuup  chamchamā.ī  ki  chehre  utar  ga.e
kuchh  ajnabī  sī  lagtī  haiñ  shāḳheñ  harī-bharī
thā  jin  pe  terā  saaya  vo  patte  kidhar  ga.e
sapnoñ  kī  khoj  hī  meñ  kaTegī  ye  raat  bhī
aisī  havā  chalī  hai  ki  bādal  bikhar  ga.e
is  saal  jin  dinoñ  meñ  tirā  qurb  thā  nasīb
aa.ī  na  terī  yaad  vo  din  bhī  guzar  ga.e
rāhoñ  meñ  yuuñ  na  baiTh  raheñ  ḳhānumāñ-ḳharāb
jin  kī  nazar  huī  thī  vo  sab  log  ghar  ga.e
yuuñ  to  vo  dekhne  ko  thā  saada  sā  aadmī
jo  log  luT  ga.e  vo  kisī  baat  par  ga.e
barsoñ  hī  us  ne  phuul  khilā.e  haiñ  dhuup  meñ
ik  umr  ho  chalī  hai  jise  baam  par  ga.e